Tuesday, April 5, 2011

kadamb ka ped / Subhadra kumari Chauhan

Subhadra Kumari Chauhan.JPG
 
yeh kadamb ka ped agar maa hota yamuna teerey
main bhi us par baith kanhaiyya banta dheerey-dheerey



le deti yadi mujhe bansuri tum do paisey wali

kisi tarah neechey ho jati yeh kadamb kee dali



tumhey nahi kuchh kehta par main chupke chupke aata

us neechee dali se amma unchey par chhad jata



wahin baith fir badey mazey se mein bansuri bajata
amma amma keh bansi ke swar mein tumhey bulata



sun meri bansi ko maa tum itni kush ho jati

mujhey dekhney ko tum bahar kaam chhod kar aati



tumko aati dekh bansuri rakh mein chup ho jata

pattoN mein chhip kar fir dheerey se bansuri bajata



bahut bulaney par bhi maa jab nahi utar kar aata

maa, tab maa ka hridya tumhara bahut vikal ho jata




tum aanchal phela kar amma wahin ped ke neechey
ishwar se kuch binti karti baithee aankhey meechey


tumhey dhyan mein lagi dekh mein dheerey dheerey aata
aur tumharey phailey aanchal ke neechey chhip jata


tum ghabra kar aankh kholti par maa khush ho jati
jab apney munney raja ko godi mein hee pati

tumhey nahi kuchh kehta par main chupke chupke aata
us neechee dali se amma unchey par chhad jata



wahin baith fir badey mazey se mein bansuri bajata
amma amma keh bansi ke swar mein tumhey bulata
....


Shubhadra Kumari Chauhan (1904-1948)
                                         

   यह कदंब का पेड़ अगर माँ होता यमुना तीरे
मैं भी उस पर बैठ कन्हैया बनता धीरे-धीरे
ले देतीं यदि मुझे बांसुरी तुम दो पैसे वाली
किसी तरह नीची हो जाती यह कदंब की डाली
तुम्हें नहीं कुछ कहता पर मैं चुपके-चुपके आता
उस नीची डाली से अम्मा ऊँचे पर चढ़ जाता
वहीं बैठ फिर बड़े मजे से मैं बांसुरी बजाता
अम्मा-अम्मा कह वंशी के स्वर में तुम्हे बुलाता
बहुत बुलाने पर भी माँ जब नहीं उतर कर आता
माँ, तब माँ का हृदय तुम्हारा बहुत विकल हो जाता
तुम आँचल फैला कर अम्मां वहीं पेड़ के नीचे
ईश्वर से कुछ विनती करतीं बैठी आँखें मीचे
तुम्हें ध्यान में लगी देख मैं धीरे-धीरे आता
और तुम्हारे फैले आँचल के नीचे छिप जाता
तुम घबरा कर आँख खोलतीं, पर माँ खुश हो जाती
जब अपने मुन्ना राजा को गोदी में ही पातीं
इसी तरह कुछ खेला करते हम-तुम धीरे-धीरे
यह कदंब का पेड़ अगर माँ होता यमुना तीरे

No comments:

Post a Comment